Radha Aarti English Lyrics

Shree Radha Ji ki Aarti, Mangal Harathi, Arti of Goddess Radha

Aarti is also known as arathi and aarthi is a Hindu religious ritual, Aarti is performed after the puja, is a process of offering a camphor / oil lamp to the Deities. When the aarti is performed, all those present should be standing, clapping and singing along to the song that is praising Deity. There is also another form of Aarti dedicated to Godess Radha.

Radha Aarti in English Lyrics (Text)
Radha Aarti English Script

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Krishna sang jo kare niwasa, Krishna kare jin par Vishwasha, Aarti Vrishbhanu lalli ke keeje,

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Krishna chandra kee kare Sahai, Muh me aani roop dikahai, usi shakti ki aarti Keeje.

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Nand Putra se Preeti badai, Jamuna tat par raas rachai, Aarti raas rasai kee keeje,

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Prem Rah jisne batlayee, nirgun bhakti nahi apnayee, Aarti! Sri Radha Jee ke Keeje.

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Duniya kee jo raksha karti, bhaktjano ke sab dukh harti, Aarti dukh harani ke keeje.

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Krishna Chandra ne prem badaya,  vipin beech mein raas rachaya, aarti Krishna priya ke keeje.

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Duniya kee jo janani kahave, nij putro ko dheer bandhave, aarti Jagat mata kee keeje.

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.
Nij putro ke kaaj savare, aarti gayak ke kasht nivare, aarti Vishwamaat ke keeje,

Aarti Radha ji kee kije, Aarti Radha ji kee kije.

No comments.

Leave a Reply